Barish Sharab-e-Arsh Hai He Soch Kar Adam...

Barish K Sab Huroof Ko Ulta K Pee Gya...

میرے سینے سے ذرا کان لگا کر دیکھو...سانس چلتی ہے کہ زنجیر زنی ہوتی ہے...Mery Seeny Sy Zara Kaan Laga Kar Dekho...Saans Chalti Hai K Zanjeer Zani Hoti Hai...#ساقی

Posted by Rehman Ahmad on Sunday, 10 January 2016

کچھ دیکھ رہے ہیں___دلِ بسمل کا تڑپنا…کچھ غور سے قاتل کا ہُنر دیکھ رہے ہیں…

Posted by Rehman Ahmad on Saturday, 9 January 2016

زخم گنگھرو پہن کے بیٹھے ہیں...تیری یادوں کا رقص جاری ہے...

Posted by Rehman Ahmad on Saturday, 9 January 2016

اب تیرے ہجر میں لذّت، نہ تیرے وصل میں لطف...ان دِنوں زیست ہے ٹھہرے ہوے آنسو کی طرح...السلام علیکم! صبح بخیر (Good Morning)

Posted by Rehman Ahmad on Thursday, 7 January 2016

Suna Hai Ishq Naam K Guzry Hen Ek Bazurg...Ham Bhi Mureed Usi Silsly K Hen...

Posted by Maktab on Friday, 11 December 2015

Aye Dil Thori Si Himmat Kar...Dono'n Mil Kar Usy Bhool Jaty Hen...(A sad afternoon 󾰑)

Posted by Rehman Ahmad on Wednesday, 18 November 2015

Zindagi Aa Baith Zara Bat To Sun...Muhabbat Kar Baitha Hun Koi Mashwara To...Shab Ba`Khair (Good Night)

Posted by Rehman Ahmad on Wednesday, 18 November 2015

Ab Sanwarty Raho Balaa Sy Meri...Dil Ny Sarkaar Khud`Kushi Kar Li...

Posted by Maktab on Thursday, 12 November 2015

Kis Ki Jur`at Mery Hosh Men Looty Mujhy

Wo To Duniya Teri Bato'n Men Laga Deti Hai

Kis Sy Mahroomi-e-Qismat Ki Shikayat Kijiye ?

Ham Ny Chaha Tha K Mar Jaen, So Wo Bhi Na Huwa

Kab Bhulaye Jaty Hen Dost Juda Ho Kar Bhi Wasee

Dil Toot Jata Hai Rehta Phir Bhi Seeny Men Hai

Is Duniya Men Kon Kary Wafa Kisi Sy Faraz

Dil K Do Huroof Aur Wo Bhi Juda Juda


Suno Tum Khwab Ho Mera

Suno Tum Khwab Na Hona

Ek Dil Hai K Basaya Nahi Jata Ham Sy

Log Sehrao'n Ko Gulzar Bana Dety Hen

Bhool Gaye Ho To Bta Do Mujhy Ko

Mujh Men Marny Ki Himmat Aa Gai Hai

Teri Ghaflato'n Ko Khabar Kahan, Mery Hal-Dil Py Nazar Kaha'n

Tu Jafa Ki Had Men Na Aa Saka, Men Wafa Ki Had Sy Guzar Gya

Kaash Ye Muhabbat Khwab Si Hoti

Bas Phir Aankh Khulti Aur Qisa Khatam

Suna Hai Ishq Naam K Guzry Hen Ek Bazurg

Ham Bhi Mureed Usi Silsly K hen

Wabasta Ho Gai Thi'n Kuch Umeeden Aap Sy

Umeedo'n Ka Charagh Bujhaany Ka Shukriya

Pehly Jo Tha Wo Sirf Tumhari Talash Thi

Lekin Jo Tum Sy Mil K Huwa Hai Ye Ishq Hai
 Aaj K Din Saaf Ho Jata Hai Dil Aghyaar Ka

Aao Mil Lo Eid Ye Moqa Nahi Taqraar Ka

Khud Ko Bohat Pur`Sakoon Mehsoos Karty Hen 
Jab Bhi Ham Tumhary Sath Hoty Hen

Suna Hai Ek Aur Zindagi Hai Zindagi K Bad

Yahan Nahi Mily To Chalo Mar K Dekhty Hen


Hasb-e-Zaroorat Ham Ly Lety Hen 

Teri Yaad Ko Dawa Samajh Kar

Jaha'n Sy Tera Jee Chahy Meri Kitab-e-Zindagi Parh Ly

Safha Chahy Koi Bhi Khuly Tera Hi Naam Likha Hoga

Tum Ny Apna Hath To Zara Barh`haya Hota

Ghair Bhi Doobny Waly Ko Bacha Lety Hen

Na`Jany Kon Duao'n Men Yad Rakhta Hai

Men Doobta Ho'n Samandar Uchhaal Deta Hai
Meri Tishnagi Ka Khyal Kar

Men Udas Ho'n Mujhy Dekh Ja

Koi Munafiqat Sikhao Mujhy Bhi
Rishty Nibhaa Sakun Men Bhi

Koi MisaaL Zamany Mein Aesi Dekhi Hai ?

Main Jee Raha H'on Magar Dil Ny Khud`kushi Kar Li

Tum Sy Mumkin Ho To Phir Rok Do Sansen Meri

Dil Jo Dharky Ga To Yad To Tum Aao Gy

Tery Gharoor K Mayaar Sy Buland Hun Men

Teri Pasand Ka Kya Zikr, Khud Pasand Hun Men

Aa'iny Bhi Tumhen Tumhari Khabar Na Dy Saken Gy

Aao Dekho Meri Nigaho'n Men Kitny Haseen Ho Tum

Sab Kuch Kho Kar Bhi Tujhy Hasil Na Kar Saky

Shayad Hamen Andaza Na Tha Tery Urooj Ka

Jitni Mushkil Sy Mili Is Watan Ko Azaadi

Itna Mushkil Hai Teri Yaad Sy Reha Hona

Khushiyo'n Ko Ham Bichha Den Qadmo'n Men Tery

Tu Kabhi Aa Raah-e-Muhabbat Par, Mera Hony K Liye

Kab Tak Bhugtoo'n Main Ab Saza Teri ?

Aye Ishq Ghalti Ho Gai Ab Maaf Kar Mujhy

Ham To Mit Jaaen Gy Aye Arz-e-Watan Lekin

Tum Ko Zinda Rehna Hai Qayamat Ki Sehr Hony Tak

Mujhy Na Stao Itna K Main Rooth Jao'n Tum Sy

Mujhy Acha Nahi Lagta Apni Saanso'n Sy Juda Hona

Kisi Ko Pyaar Mila Koi Kuch Bhi Na Paa Saka

Yeh Ishq Cheez Hai Kya Koi Bhi Bata Na Saka

Meri Zindagi Sy Khelna To Sab Ki Aadat Ban Gai Hai

Kaash ! Ham Khilona Ban Kar Bikty
To Aaj Kisi Ek K To Ho Jaaty

Dekhy Hen Bohat Ham Ny Hangamy Muhabbat K

Aaghaz Bhi Ruswaai, Anjam Bhi Ruswaai

Kitny Majboor Hen Hum, Pyaar K Hatho'n

Na Tujhy Paany Ki Aukaat,Na Tujhy Khony Ka Hosla

Wasi Yakeen Hai Mujh Ko Wo Lot Aaye Ga

Usay Bhi Apny Kiye Ka Malaal Hona Hai


Suno ! Kesy Parhty Hen Janaza Un Ka ?

Wo Khwab Jo Seeny Men Mar Jaty Hen



Kis Qadar Ho Ga Yaha'n Mehr-o-Wafa Ka Maatam

Ham Teri Yaad Sy Jis Roz Utar Jaaen Gy

Ishq Dam-e-Jibraeel, Ishq Dil-e-Mustafaa

Ishq Khuda Ka Rasool, Ishq Khuda Ka Qalaam


Kabhi Dekho Dhoop Men Kharry Tanha Shajar Ko

Aesy Jalty Hen Wafao'n Ko Nibhany Waaly

Teri Soorat Sy Nahi'n Milti Koi Bhi Soorat

Ham Jaha'n Men Teri Tasveer Liye Phirty Hen

Afrad K Hatho'n Mein Hai Aqwam Ki Taqdeer

Har Fard Hai Millat K Muqaddar Ka Sitara

Saaf-o-Shaffaaf Thi Pani Ki Tarah Niyyat-e-Dil

Dekhny Walo'n Ny Dekha Usay Gadla Kar K

Ye Maal-o-Doulat-e-Dunya, Ye Rishta-o-Paiwand

Butaan-e-Wehm-o-Guma'n, La Ilaha Illallah

Rakh Mery Hath Py Apny Hath Ka Bharosa

K Ab Ki Bar Ham Bichhre'n To Maut Aa Jaye

Marny Waly To Khair Be-Bas Hen

Jeeny Waly Kamal Karty Hen

Khwab Lafzo'n Men Dhal Nahi'n Sakty

Kaash ! Aankhe'n Parha Kary Koi

Hen Aur Bhi Duniya Men Sukhan`War Bohat Achhy

Kehty Hen Ghalib Ka Hai Andaz-e-Baya'n Aur

Na Neend Hai Aankho'n Mein Na Hi Koi Hasrat

Kitna Saada Sa Reh Gaya Ho'n Main Tery Baghair